ye bhi apni jagah riyazat hai
ye bhī apnī jagah riyāzat hai
ḳhidmat-e-ḳhalq bhī ibādat hai
zindagī par na koī itrā.e
zindagī maut kī amānat hai
moḌ deñ baḌh ke ruḳh havādis kā
ab bhī vo himmat-o-jasārat hai
āj-kal dostī ke parde meñ
nafrat-o-buġhz hai adāvat hai
yūrish-e-barq-o-bār ke bā-vasf
āshiyāna mirā salāmat hai
miT ga.e ham jo miT ga.ī urdu
ek shā.ir kī ye bashārat hai
in dinoñ zindagī mirī 'zākir'
ek bosīda sī imārat hai
ye bhi apni jagah riyazat hai
KHidmat-e-KHalq bhi ibaadat hai
zindagi par na koi itrae
zindagi maut ki amanat hai
moD den baDh ke ruKH hawadis ka
ab bhi wo himmat-o-jasarat hai
aaj-kal dosti ke parde mein
nafrat-o-bughz hai adawat hai
yurish-e-barq-o-bar ke ba-wasf
aashiyana mera salamat hai
miT gae hum jo miT gai urdu
ek shair ki ye bashaarat hai
in dinon zindagi meri 'zakir'
ek bosida si imarat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.