ye bhi guzre hue baadal ki hai tarsai hui
ye bhī guzre hue bādal kī hai tarsā.ī huī
jā rahī hai jo nadī khetoñ se sharmā.ī huī
zehn shā'ir kā na.ī sub.hoñ ke sūraj kī kiran
jaise sūkhe hue hoñThoñ pe hañsī aa.ī huī
ab maiñ ye soch ke ruk jā.ūñ to jal jā.uñgā
ki hai ye aag kisī aur kī bhaḌkā.ī huī
kyā chhupā rakkhā hai dīvāroñ ne ḳhushbū ki charāġh
kyoñ muñDeroñ pe havā phirtī hai ghabrā.ī huī
lījiye mujh se bhī paimān-e-vafā chāhtī hai
yahī duniyā mire ajdād kī Thukrā.ī huī
ye bhi guzre hue baadal ki hai tarsai hui
ja rahi hai jo nadi kheton se sharmai hui
zehn sha'ir ka nai subhon ke suraj ki kiran
jaise sukhe hue honThon pe hansi aai hui
ab main ye soch ke ruk jaun to jal jaunga
ki hai ye aag kisi aur ki bhaDkai hui
kya chhupa rakkha hai diwaron ne KHushbu ki charagh
kyon munDeron pe hawa phirti hai ghabrai hui
lijiye mujh se bhi paiman-e-wafa chahti hai
yahi duniya mere ajdad ki Thukrai hui
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 78)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.