ye bhi hai ek tarz-e-baghawat hawa ke sath
ye bhī hai ek tarz-e-baġhāvat havā ke saath
varna charāġh aur mohabbat havā ke saath
taaza gulāb halqa-e-shāḳh-e-nihāl meñ
jo barg-e-ḳhushk hai use nisbat havā ke saath
titlī ke par pe likh ke tire naam kā payām
karte haiñ guftugū tirī bābat havā ke saath
āñchal ḳhushī se aur kisī lahr meñ uḌā
mansūb ho ga.ī ye sharārat havā ke saath
kholī havā ne pair se lipTī thakan koī
aa.ī kisī ke naam masāfat havā ke saath
ḳhushbū kī dastakoñ pe darīche to kholiye
hai sabz mausamoñ kī bashārat havā ke saath
ḳhud hī to sāhiloñ pe gharauñde banā.e the
kaise kareñge aap shikāyat havā ke saath
ye bhi hai ek tarz-e-baghawat hawa ke sath
warna charagh aur mohabbat hawa ke sath
taza gulab halqa-e-shaKH-e-nihaal mein
jo barg-e-KHushk hai use nisbat hawa ke sath
titli ke par pe likh ke tere nam ka payam
karte hain guftugu teri babat hawa ke sath
aanchal KHushi se aur kisi lahr mein uDa
mansub ho gai ye shararat hawa ke sath
kholi hawa ne pair se lipTi thakan koi
aai kisi ke nam masafat hawa ke sath
KHushbu ki dastakon pe dariche to kholiye
hai sabz mausamon ki bashaarat hawa ke sath
KHud hi to sahilon pe gharaunde banae the
kaise karenge aap shikayat hawa ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.