ye bhi ji chura baiThi bar-e-gham uThane se
ye bhi ji chura baiThi bar-e-gham uThane se
Ustad Azmat Hussain Khan
MORE BYUstad Azmat Hussain Khan
ye bhī jī churā baiThī bār-e-ġham uThāne se
ziist de ga.ī dhoka maut ke bahāne se
dard ko kisī pahlū chain hī nahīñ aatā
zindagī musībat hai dil ke Tuut jaane se
fitrat-e-mohabbat kā rang hī nirālā hai
yaad aate jaate haiñ aur vo bhulāne se
kis qadar talavvun hai aadmī kī fitrat meñ
mutma.in nahīñ hotā ye kisī bahāne se
aap ho ga.e nālāñ maut ho ga.ī āsāñ
ḳhatm ho gayā tūfāñ dil ke Duub jaane se
nā'ra-e-anal-haq se ham to sirf ye samjhe
baat thī chhupāne kī kah ga.e zamāne se
paḌ ga.ī haiñ buniyādeñ har jagah nasheman kī
gir ga.e the tinke kuchh mere āshiyāne se
dostoñ se ai 'maikash' be-ruḳhī kā shikva kyā
rasm hī mohabbat kī uTh ga.ī zamāne se
ye bhi ji chura baiThi bar-e-gham uThane se
zist de gai dhoka maut ke bahane se
dard ko kisi pahlu chain hi nahin aata
zindagi musibat hai dil ke Tut jaane se
fitrat-e-mohabbat ka rang hi nirala hai
yaad aate jate hain aur wo bhulane se
kis qadar talawwun hai aadmi ki fitrat mein
mutmain nahin hota ye kisi bahane se
aap ho gae nalan maut ho gai aasan
KHatm ho gaya tufan dil ke Dub jaane se
na'ra-e-anal-haq se hum to sirf ye samjhe
baat thi chhupane ki kah gae zamane se
paD gai hain buniyaaden har jagah nasheman ki
gir gae the tinke kuchh mere aashiyane se
doston se ai 'maikash' be-ruKHi ka shikwa kya
rasm hi mohabbat ki uTh gai zamane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.