ye bhi kya hijr ke maron ki pazirai hai
ye bhī kyā hijr ke māroñ kī pazīrā.ī hai
‘itr-e-mahtāb lagā.e hue raat aa.ī hai
rū-e-har-gul meñ mujhe us kī shabāhat aa.e
phuul jhūTe haiñ ki jhūTī mirī bīnā.ī hai
jazr-o-mad rangoñ ke dekho to pareshān na ho
us kī āñkhoñ kī samundar se shanāsā.ī hai
kam se kam us se tirā vasl ujāgar hotā
vo jo tasvīr hamāre liye banvā.ī hai
yuuñ bhī kyā hotā hai e'lān shikast-e-dil kā
tujh se baḌh kar to sitamgar tirī shahnā.ī hai
hai hasīñ itnā tirā shahr ki is meñ rahnā
ham ġharīboñ ke liye bā’is-e-rusvā.ī hai
ye bhi kya hijr ke maron ki pazirai hai
‘itr-e-mahtab lagae hue raat aai hai
ru-e-har-gul mein mujhe us ki shabahat aae
phul jhuTe hain ki jhuTi meri binai hai
jazr-o-mad rangon ke dekho to pareshan na ho
us ki aankhon ki samundar se shanasai hai
kam se kam us se tera wasl ujagar hota
wo jo taswir hamare liye banwai hai
yun bhi kya hota hai e'lan shikast-e-dil ka
tujh se baDh kar to sitamgar teri shahnai hai
hai hasin itna tera shahr ki is mein rahna
hum gharibon ke liye ba’is-e-ruswai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.