ye bhi kya kam hai ki hum betab haalat mein rahe
ye bhī kyā kam hai ki ham betāb hālat meñ rahe
ban na paa.e kuchh bhī lekin dast-e-qudrat meñ rahe
ham ko āñkhoñ meñ basāyā vaqt ne mānind-e-ḳhvāb
aur ham ta.abīr ho jaane kī hasrat meñ rahe
ham ne sahrā ho ki gulshan ek jaisā kar diyā
jis Thikāne bhī rahe zanjīr-e-vahshat meñ rahe
ab sila husn-e-amal kā kyā milā kyā jāniye
raushnī the ham so sho.ale kī rifāqat meñ rahe
ḳhalvat-e-jāñ meñ baḌī fursat se aa baiThā hai ġham
arsa-e-fursat milā to ham bhī fursat meñ rahe
ye bhi kya kam hai ki hum betab haalat mein rahe
ban na pae kuchh bhi lekin dast-e-qudrat mein rahe
hum ko aankhon mein basaya waqt ne manind-e-KHwab
aur hum tabir ho jaane ki hasrat mein rahe
hum ne sahra ho ki gulshan ek jaisa kar diya
jis Thikane bhi rahe zanjir-e-wahshat mein rahe
ab sila husn-e-amal ka kya mila kya jaaniye
raushni the hum so shoale ki rifaqat mein rahe
KHalwat-e-jaan mein baDi fursat se aa baiTha hai gham
arsa-e-fursat mila to hum bhi fursat mein rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.