ye bhi mere nasib ki hai baat kuchh na kuchh
ye bhī mire nasīb kī hai baat kuchh na kuchh
chalte haiñ hādsāt mire saat kuchh na kuchh
badle hue chaman ke haiñ hālāt kuchh na kuchh
ḳhāmosh haiñ fazā.eñ to hai baat kuchh na kuchh
namrūd kā vo bhaa.ī hai fir'aun kā rafīq
fitne uThātā rahtā hai bad-zāt kuchh na kuchh
zālim ko merā qatl hai maqsūd is liye
sāzish vo kartā rahtā hai din raat kuchh na kuchh
is dil pe iḳhtiyār use ham ne kyā diyā
zaḳhmī vo kartā rahtā hai jazbāt kuchh na kuchh
yuuñ bhī kisī kī bazm meñ jaate nahīñ haiñ ham
muñh se hamāre niklegī haq baat kuchh na kuchh
merī tabāhiyoñ meñ mire dushmanoñ ke saath
apnoñ kā bhī rahā hai mire haath kuchh na kuchh
ham bhī kabhī amiir the jholī meñ apnī dekh
ghar kī hamāre niklegī ḳhairāt kuchh na kuchh
sach bolne kā shauq bahut hai tumheñ 'samar'
duniyā se is kī pāoge sauġhāt kuchh na kuchh
ye bhi mere nasib ki hai baat kuchh na kuchh
chalte hain hadsat mere sat kuchh na kuchh
badle hue chaman ke hain haalat kuchh na kuchh
KHamosh hain fazaen to hai baat kuchh na kuchh
namrud ka wo bhai hai fir'aun ka rafiq
fitne uThata rahta hai bad-zat kuchh na kuchh
zalim ko mera qatl hai maqsud is liye
sazish wo karta rahta hai din raat kuchh na kuchh
is dil pe iKHtiyar use hum ne kya diya
zaKHmi wo karta rahta hai jazbaat kuchh na kuchh
yun bhi kisi ki bazm mein jate nahin hain hum
munh se hamare niklegi haq baat kuchh na kuchh
meri tabahiyon mein mere dushmanon ke sath
apnon ka bhi raha hai mere hath kuchh na kuchh
hum bhi kabhi amir the jholi mein apni dekh
ghar ki hamare niklegi KHairaat kuchh na kuchh
sach bolne ka shauq bahut hai tumhein 'samar'
duniya se is ki paoge saughat kuchh na kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.