ye bhi mumkin hai ki aankhen ho tamasha hi na ho
ye bhī mumkin hai ki āñkheñ ho tamāshā hī na ho
raas aane lage ham ko to ye duniyā hī na ho
zindagī chāheñ to ḳhvāboñ se sivā kuchh na mile
Dūbnā chāheñ to hāsil hameñ dariyā hī na ho
dil ko ḳhush karne ko DhūñDe haiñ bahāne ham ne
ab palaT kar zarā dekheñ kahīñ aayā hī na ho
ab to bas sā.at-e-gum-karda kī yādeñ baaqī
ye vo jañgal hai ki jis meñ koī rastā hī na ho
kaam kyā degā vo TuuTā huā ā.īna bhī
yaad rakhne ko vahī aks vo chehrā hī na ho
hijr ko shauq-e-mudāvā hī samajh kar jī leñ
zindagī tujh se ulajhne kā to yaarā hī na ho
ye bhi mumkin hai ki aankhen ho tamasha hi na ho
ras aane lage hum ko to ye duniya hi na ho
zindagi chahen to KHwabon se siwa kuchh na mile
Dubna chahen to hasil hamein dariya hi na ho
dil ko KHush karne ko DhunDe hain bahane hum ne
ab palaT kar zara dekhen kahin aaya hi na ho
ab to bas saat-e-gum-karda ki yaaden baqi
ye wo jangal hai ki jis mein koi rasta hi na ho
kaam kya dega wo TuTa hua aaina bhi
yaad rakhne ko wahi aks wo chehra hi na ho
hijr ko shauq-e-mudawa hi samajh kar ji len
zindagi tujh se ulajhne ka to yara hi na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.