Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye bhi mumkin hai mujhe tujhse mohabbat na rahe

Sadia Swera

ye bhi mumkin hai mujhe tujhse mohabbat na rahe

Sadia Swera

MORE BYSadia Swera

    ye bhī mumkin hai mujhe tujh se mohabbat na rahe

    rahe bhī to tirī aur zarūrat na rahe

    sochtī huuñ ki koī rāsta mil jaa.e mujhe

    jahāñ baaqī tire Takrāne sūrat na rahe

    is se behtar to mujhe ‘ālam-e-mad.hoshī hai

    'ālam-e-hosh meñ baaqī jahāñ hairat na rahe

    jis haqārat se mirī chaah ko radd ne kiyā

    kaash aisā ho kisī ko tirī chāhat na rahe

    dam-e-āḳhir yuuñ palaT kar mujhe dekhā us ne

    jaise bande ko kisī shai zarūrat na rahe

    itnī ban jaa.e faqat dil meñ mohabbat jagah

    koī ranjish na rahe koī kudūrat na rahe

    ye bhi mumkin hai mujhe tujh se mohabbat na rahe

    ya rahe bhi to teri aur zarurat na rahe

    sochti hun ki koi rasta mil jae mujhe

    jahan baqi tere Takrane ki surat na rahe

    is se behtar to mujhe ‘alam-e-madhoshi hai

    'alam-e-hosh mein baqi jahan hairat na rahe

    jis haqarat se meri chah ko radd tu ne kiya

    kash aisa ho kisi ko teri chahat na rahe

    dam-e-aKHir yun palaT kar mujhe dekha us ne

    jaise bande ko kisi shai ki zarurat na rahe

    itni ban jae faqat dil mein mohabbat ki jagah

    koi ranjish na rahe koi kudurat na rahe

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now