ye bhi mumkin hai use tujhse sarokar na ho
ye bhi mumkin hai use tujhse sarokar na ho
Muhammad Rashid Athar
MORE BYMuhammad Rashid Athar
ye bhī mumkin hai use tujh se sarokār na ho
dil kisī aur hī uljhan meñ giraftār na ho
mujh ko ḳhush-hāl vo pā kar kahīñ be-zār na ho
kah do tum tāle-e-ḳhvābīda se bedār na ho
ham-rikāb aap haiñ girne kā hai phir ḳhauf kise
lutf tab hai ki koī raah bhī hamvār na ho
tere bismil kī duā.eñ bhī tire haq meñ haiñ
arsh kis taur se phir terā madad-gār na ho
kaun kahtā hai mujhe izn-e-rihā.ī mil jaa.e
ye sazā us ko sunā tujh se jise pyaar na ho
un kā ye zauq-e-masīhā.ī salāmat hai to dil
kaise mumkin ho ki zinda to ho bīmār na ho
aaj apnoñ kī taraf se jo nahīñ pursish-e-ġham
dekhnā ye bhī kahīñ sāzish-e-aġhyār na ho
ye bhi mumkin hai use tujh se sarokar na ho
dil kisi aur hi uljhan mein giraftar na ho
mujh ko KHush-haal wo pa kar kahin be-zar na ho
kah do tum tale-e-KHwabida se bedar na ho
ham-rikab aap hain girne ka hai phir KHauf kise
lutf tab hai ki koi rah bhi hamwar na ho
tere bismil ki duaen bhi tere haq mein hain
arsh kis taur se phir tera madad-gar na ho
kaun kahta hai mujhe izn-e-rihai mil jae
ye saza us ko suna tujh se jise pyar na ho
un ka ye zauq-e-masihai salamat hai to dil
kaise mumkin ho ki zinda to ho bimar na ho
aaj apnon ki taraf se jo nahin pursish-e-gham
dekhna ye bhi kahin sazish-e-aghyar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.