ye bhi nahin ki tu hi simaTta chala gaya
ye bhī nahīñ ki tū hī simaTtā chalā gayā
maiñ ḳhud tirī nigāh se haTtā chalā gayā
dast-e-sitam ne jaur meñ koī kamī na kī
sar bhī sināñ kī nok pe DaTtā chalā gayā
dekhā palaT ke rashk-e-mah-o-mehr ne mujhe
maiñ 'aks-e-nīm-roz thā ghaTtā chalā gayā
chāhat fareb shā'irī ġham fikr-e-rozgār
kyā aadmī thā yaar ki baTtā chalā gayā
tā-'umr us ne saath nibhāne kī baat kī
sach pūchhiye to rāsta kaTtā chalā gayā
'hammād' sab nisāb the jīvan ke dastyāb
ḳhud maiñ kalām-e-'mīr' ko raTtā chalā gayā
ye bhi nahin ki tu hi simaTta chala gaya
main KHud teri nigah se haTta chala gaya
dast-e-sitam ne jaur mein koi kami na ki
sar bhi sinan ki nok pe DaTta chala gaya
dekha palaT ke rashk-e-mah-o-mehr ne mujhe
main 'aks-e-nim-roz tha ghaTta chala gaya
chahat fareb sha'iri gham fikr-e-rozgar
kya aadmi tha yar ki baTta chala gaya
ta-'umr us ne sath nibhane ki baat ki
sach puchhiye to rasta kaTta chala gaya
'hammad' sab nisab the jiwan ke dastyab
KHud main kalam-e-'mir' ko raTta chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.