ye bhi nahin ummid ki bedad karoge
ye bhī nahīñ ummīd ki bedād karoge
tum aise kahāñ ho ki mujhe yaad karoge
kyā mere liye ġhair ko nāshād karoge
tum yuuñ bhī sitam Dhāoge bedād karoge
do-chār ghaḌī aur hai duniyā meñ baserā
ab zulm karoge agar āzād karoge
ye hijr na jaane mujhe kyā vaqt dikhā.e
aur tum kisī bad-baḳht ko kyoñ yaad karoge
taqdīr ke maare ko satānā nahīñ achchhā
barbād ko tum aur kyā barbād karoge
maiñ ḳhuub samajhtā huuñ tumhārī ye sharārat
nāshād karoge tum agar shaad karoge
tum jā to rahe ho magar itnā to batā do
taqdīr ke maare ko kabhī yaad karoge
tāsīr se ḳhālī nahīñ 'bismil' kā taḌapnā
ye yaad rahe tum ko ki tum yaad karoge
ye bhi nahin ummid ki bedad karoge
tum aise kahan ho ki mujhe yaad karoge
kya mere liye ghair ko nashad karoge
tum yun bhi sitam Dhaoge bedad karoge
do-chaar ghaDi aur hai duniya mein basera
ab zulm karoge agar aazad karoge
ye hijr na jaane mujhe kya waqt dikhae
aur tum kisi bad-baKHt ko kyon yaad karoge
taqdir ke mare ko satana nahin achchha
barbaad ko tum aur kya barbaad karoge
main KHub samajhta hun tumhaari ye shararat
nashad karoge tum agar shad karoge
tum ja to rahe ho magar itna to bata do
taqdir ke mare ko kabhi yaad karoge
tasir se KHali nahin 'bismil' ka taDapna
ye yaad rahe tum ko ki tum yaad karoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.