ye bhi qissa tamam kar aaya
Interesting Fact
نذرِ جونؔ یلیا
ye bhī qissa tamām kar aayā
aaj chaukhaT pe jaan dhar aayā
vo jo ik ghar thā mere purkhoñ kā
mere hisse meñ kab vo ghar aayā
kis tamannā se ghar se niklā thā
par mujhe raas kab safar aayā
imtihāñ ḳhatm hī nahīñ hote
kitne maqtal maiñ paar kar aayā
chāhateñ bāñTīñ nafrateñ pā.īñ
biij kyā boyā kyā samar aayā
de ke āvāz har taraf tujh ko
har taraf se maiñ be-ḳhabar aayā
dil kisī ḳhauf se agar dhaḌkā
lab pe ik naam be-ḳhatar aayā
terī nisbat se mere kāġhaz par
harf jo aayā mo'atabar aayā
dil mohalle se jab bhī guzrā 'adīl'
tū hī galiyoñ meñ bas nazar aayā
ye bhi qissa tamam kar aaya
aaj chaukhaT pe jaan dhar aaya
wo jo ek ghar tha mere purkhon ka
mere hisse mein kab wo ghar aaya
kis tamanna se ghar se nikla tha
par mujhe ras kab safar aaya
imtihan KHatm hi nahin hote
kitne maqtal main par kar aaya
chahaten banTin nafraten pain
bij kya boya kya samar aaya
de ke aawaz har taraf tujh ko
har taraf se main be-KHabar aaya
dil kisi KHauf se agar dhaDka
lab pe ek nam be-KHatar aaya
teri nisbat se mere kaghaz par
harf jo aaya mo'atabar aaya
dil mohalle se jab bhi guzra 'adil'
tu hi galiyon mein bas nazar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.