ye bhi rawish kya KHub hai sachchi KHushi ke waste
ye bhi rawish kya KHub hai sachchi KHushi ke waste
Rahbar Tabani Dariyabadi
MORE BYRahbar Tabani Dariyabadi
ye bhī ravish kyā ḳhuub hai sachchī ḳhushī ke vāste
jiinā kisī ke vāste marnā kisī ke vāste
lāzim haiñ dūr-andeshiyāñ ik falsafī ke vāste
fikr-o-nazar darkār haiñ dānishvarī ke vāste
jab tak na ho irfān-e-zāt idrāk-e-ālam kuchh nahīñ
yā-rab basīrat kar atā ḳhud-āgahī ke vāste
ahl-e-ḳhirad se hal na hoñge zindagī ke mas.ale
ahl-e-junūñ ko DhūñD is dard-e-sarī ke vāste
hote rahoge tā-ba-ke sharminda-e-ehsān-e-ġhair
yaaro yahāñ kī chand-roza zindagī ke vāste
donoñ haiñ afsurda-dil āzurda-nazar āshufta-hāl
ik be-ḳhudī ke vāste aur ik ḳhudī ke vāste
kis darja pur-asrār hotā jā rahā hai in dinoñ
ik mas.ala hai aadmī ḳhud aadmī ke vāste
mujh ko kisī kī zaat se kyā lenā denā hai magar
koshāñ huuñ maiñ to ittihād-e-bāhamī ke vāste
'rahbar' na hogā shabnam-afshānī se bār-āvar ye baaġh
ḳhūn-e-jigar kī hai zarūrat shā.erī ke vāste
ye bhi rawish kya KHub hai sachchi KHushi ke waste
jina kisi ke waste marna kisi ke waste
lazim hain dur-andeshiyan ek falsafi ke waste
fikr-o-nazar darkar hain danishwari ke waste
jab tak na ho irfan-e-zat idrak-e-alam kuchh nahin
ya-rab basirat kar ata KHud-agahi ke waste
ahl-e-KHirad se hal na honge zindagi ke masale
ahl-e-junun ko DhunD is dard-e-sari ke waste
hote rahoge ta-ba-ke sharminda-e-ehsan-e-ghair
yaro yahan ki chand-roza zindagi ke waste
donon hain afsurda-dil aazurda-nazar aashufta-haal
ek be-KHudi ke waste aur ek KHudi ke waste
kis darja pur-asrar hota ja raha hai in dinon
ek masala hai aadmi KHud aadmi ke waste
mujh ko kisi ki zat se kya lena dena hai magar
koshan hun main to ittihad-e-bahami ke waste
'rahbar' na hoga shabnam-afshani se bar-awar ye bagh
KHun-e-jigar ki hai zarurat shaeri ke waste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.