ye chahte hain ki jam-e-ulfat ka zehn-o-dil se asar na jae
ye chahte hain ki jam-e-ulfat ka zehn-o-dil se asar na jae
Arzoo Ashraf Sultanpuri
MORE BYArzoo Ashraf Sultanpuri
ye chāhte haiñ ki jām-e-ulfat kā zehn-o-dil se asar na jaa.e
pilā do ham ko phir is se pahle nasha hamārā utar na jaa.e
hamīñ se hai mai-kade kī raunaq hamīñ se saarā nizām-e-rindāñ
ye kaise mumkin hai sāqiyā ab hamāre uupar nazar na jaa.e
tumhārī ḳhātir hī rāstoñ par bichhā ke rakkhī haiñ ham ne āñkheñ
chale bhī aao ki bin tumhāre ye mausam-e-gul guzar na jaa.e
varaq varaq par tumhārā charchā tumhārī yādeñ tumhārī bāteñ
baḌī hifāzat se rakh rahā huuñ kitāb-e-dil hai bikhar na jaa.e
maiñ chāhtā huuñ ki tum se kah duuñ magar ye mujh se na ho sakegā
ye dil ke iz.hār kā parinda qafas ke andar hī mar nā jaa.e
tumhāre dar se maiñ apnā sar bhī tabhī uThā.ūñgā jān-e-jānāñ
ki jab talak 'ārzū' kā bigḌā huā muqaddar sañvar na jaa.e
ye chahte hain ki jam-e-ulfat ka zehn-o-dil se asar na jae
pila do hum ko phir is se pahle nasha hamara utar na jae
hamin se hai mai-kade ki raunaq hamin se sara nizam-e-rindan
ye kaise mumkin hai saqiya ab hamare upar nazar na jae
tumhaari KHatir hi raston par bichha ke rakkhi hain hum ne aankhen
chale bhi aao ki bin tumhaare ye mausam-e-gul guzar na jae
waraq waraq par tumhaara charcha tumhaari yaaden tumhaari baaten
baDi hifazat se rakh raha hun kitab-e-dil hai bikhar na jae
main chahta hun ki tum se kah dun magar ye mujh se na ho sakega
ye dil ke izhaar ka parinda qafas ke andar hi mar na jae
tumhaare dar se main apna sar bhi tabhi uThaunga jaan-e-jaanan
ki jab talak 'arzu' ka bigDa hua muqaddar sanwar na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.