ye chand sitaron ki ziya kam to nahin hai
ye chāñd sitāroñ kī ziyā kam to nahīñ hai
jaltā huā har samt diyā kam to nahīñ hai
maiñ kyoñ karūñ asbāb o muqaddar pe bharosā
mere liye ik nām-e-ḳhudā kam to nahīñ hai
paisoñ se to lete haiñ faqīroñ kī duā.eñ
ye apne buzurgoñ kī duā kam to nahīñ hai
maġhrib kī fusūñ-sāz havāoñ se ġharaz kyā
mashriq meñ mirī bād-e-sabā kam to nahīñ hai
kyoñ haath mire ḳhuun se rañgte ho tum apne
surḳhī ke liye rang-e-hinā kam to nahīñ hai
karte haiñ 'jamīl' aap jo marne kī tamanna
is dahr meñ jiine kā mazā kam to nahīñ hai
ye chand sitaron ki ziya kam to nahin hai
jalta hua har samt diya kam to nahin hai
main kyon karun asbab o muqaddar pe bharosa
mere liye ek nam-e-KHuda kam to nahin hai
paison se to lete hain faqiron ki duaen
ye apne buzurgon ki dua kam to nahin hai
maghrib ki fusun-saz hawaon se gharaz kya
mashriq mein meri baad-e-saba kam to nahin hai
kyon hath mere KHun se rangte ho tum apne
surKHi ke liye rang-e-hina kam to nahin hai
karte hain 'jamil' aap jo marne ki tamanna
is dahr mein jine ka maza kam to nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.