ye chaar ghazlen ye lafz Dhai
ye chaar ġhazleñ ye lafz Dhaa.ī
hai umr bhar kī yahī kamā.ī
kisī ne ham par jigar ulīchā
kisī ne ham se nazar churā.ī
diyā ḳhudā ne bhī ḳhuub ham ko
luTā.ī ham ne bhī paa.ī paa.ī
na jiit paa.e na haar maanī
yahī kahānī ġhazal rubā.ī
na pūchh kaise kaTe haiñ ye din
na maañg rātoñ kī yuuñ safā.ī
ye chaar ghazlen ye lafz Dhai
hai umr bhar ki yahi kamai
kisi ne hum par jigar ulicha
kisi ne hum se nazar churai
diya KHuda ne bhi KHub hum ko
luTai hum ne bhi pai pai
na jit pae na haar mani
yahi kahani ghazal rubai
na puchh kaise kaTe hain ye din
na mang raaton ki yun safai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.