ye chaaragar to yahan har gali mein milte hain
ye chārāgar to yahāñ har galī meñ milte haiñ
koī batāo kahāñ dil ke chaak silte haiñ
tire badan kī sabā kis chaman meñ chaltī hai
kahāñ pe ab tire hoñToñ ke phuul khilte haiñ
fazā meñ bikhrī haiñ zard āñsūon kī tahrīreñ
vidā-e-gul meñ daraḳhtoñ ke haath milte haiñ
vo jin ke ashk bichhaḌte hue nahīñ thamte
mileñ bichhaḌ ke to kyoñ be-ruḳhī se milte haiñ
ġhalat gumān na kar merī ḳhushk āñkhoñ par
samundaroñ meñ jazīre zarūr milte haiñ
sulag uThī hai tirī yaad meñ fazā-e-ḳhayāl
ki jaise tīrgī-e-shab meñ phuul khilte haiñ
ye chaaragar to yahan har gali mein milte hain
koi batao kahan dil ke chaak silte hain
tere badan ki saba kis chaman mein chalti hai
kahan pe ab tere honTon ke phul khilte hain
faza mein bikhri hain zard aansuon ki tahriren
wida-e-gul mein daraKHton ke hath milte hain
wo jin ke ashk bichhaDte hue nahin thamte
milen bichhaD ke to kyon be-ruKHi se milte hain
ghalat guman na kar meri KHushk aankhon par
samundaron mein jazire zarur milte hain
sulag uThi hai teri yaad mein faza-e-KHayal
ki jaise tirgi-e-shab mein phul khilte hain
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 579)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.