ye chand log hamare hain sab hamare nahin
ye chand log hamāre haiñ sab hamāre nahīñ
chamak rahe haiñ ye jitne sabhī sitāre nahīñ
na-jāne jalte haiñ kyoñ ham se ye jahāñ vaale
hamāre paas to ash.ār haiñ sharāre nahīñ
vo muskurātā hai is vāste tavātur se
ki us ne merī tarah din abhī guzāre nahīñ
kuchh is liye bhī ham aisoñ ko maut kā Dar hai
hamāre sar haiñ ka.ī qarz jo utāre nahīñ
nasīb kaise sañvāreñge ham se ḳhāna-ba-dosh
jinhoñ ne baal bhī apne kabhī sañvāre nahīñ
maiñ shahsavār huuñ ūñchī muhīb lahroñ kā
bhañvar lubhāte raheñge mujhe kināre nahīñ
ye chand log hamare hain sab hamare nahin
chamak rahe hain ye jitne sabhi sitare nahin
na-jaane jalte hain kyon hum se ye jahan wale
hamare pas to ashaar hain sharare nahin
wo muskuraata hai is waste tawatur se
ki us ne meri tarah din abhi guzare nahin
kuchh is liye bhi hum aison ko maut ka Dar hai
hamare sar hain kai qarz jo utare nahin
nasib kaise sanwarenge hum se KHana-ba-dosh
jinhon ne baal bhi apne kabhi sanware nahin
main shahsawar hun unchi muhib lahron ka
bhanwar lubhate rahenge mujhe kinare nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.