ye chiKHen ye aah-o-buka kis liye hai
ye chīḳheñ ye āh-o-bukā kis liye hai
mire shahr kī ye fazā kis liye hai
batā zinda-dargor hai aadmī kyoñ
batā āsmāñ par ḳhudā kis liye hai
haiñ masle hue shāḳh dar shāḳh gul kyoñ
chaman dar chaman sāneha kis liye hai
akelā diyā rahguzar kā bujhā kar
pashemāñ bahut ab havā kis liye hai
jo tum sāmne aa.e to maiñ ne jaanā
ki manzar ne badlī qabā kis liye hai
na taz.īn-e-gul hai na paiġhām-e-ḳhushbū
gulistāñ meñ chaltī sabā kis liye hai
mujhe zindagī meñ diyā thā jahannum
to ab roz-e-mahshar sazā kis liye hai
ye tai hai yahāñ koī dar kab khulegā
ai darvesh detā duā kis liye hai
mire chārāgar tū ne va.ada kiyā thā
to phir dil kā ghaav bharā kis liye hai
ba-nām-e-sazā jab milā hai ye jīvan
to jiine meñ itnā mazā kis liye hai
kisī kī bhī jab muntazir maiñ nahīñ huuñ
to dar merā āḳhir khulā kis liye hai
duāoñ meñ merī asar aa gayā kyā
vo yuuñ jaate jaate rukā kis liye hai
'tabassum' ho kaise ye uqda-kushā.ī
baqā kis kī ḳhātir fanā kis liye hai
ye chiKHen ye aah-o-buka kis liye hai
mere shahr ki ye faza kis liye hai
bata zinda-dargor hai aadmi kyon
bata aasman par KHuda kis liye hai
hain masle hue shaKH dar shaKH gul kyon
chaman dar chaman saneha kis liye hai
akela diya rahguzar ka bujha kar
pasheman bahut ab hawa kis liye hai
jo tum samne aae to main ne jaana
ki manzar ne badli qaba kis liye hai
na tazin-e-gul hai na paigham-e-KHushbu
gulistan mein chalti saba kis liye hai
mujhe zindagi mein diya tha jahannum
to ab roz-e-mahshar saza kis liye hai
ye tai hai yahan koi dar kab khulega
ai darwesh deta dua kis liye hai
mere chaaragar tu ne wada kiya tha
to phir dil ka ghaw bhara kis liye hai
ba-nam-e-saza jab mila hai ye jiwan
to jine mein itna maza kis liye hai
kisi ki bhi jab muntazir main nahin hun
to dar mera aaKHir khula kis liye hai
duaon mein meri asar aa gaya kya
wo yun jate jate ruka kis liye hai
'tabassum' ho kaise ye uqda-kushai
baqa kis ki KHatir fana kis liye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.