ye dagh-e-dil tere ruKH ka jawab ho na saka
ye dāġh-e-dil tire ruḳh kā javāb ho na sakā
charāġh laakh jalā āftāb ho na sakā
hazār baar zamāne ne karvaTeñ badlīñ
mirī vafā meñ koī inqalāb ho na sakā
kaho ki chheḌ ke chhāloñ ko kyā milā āḳhir
lahū meñ Duub ke kāñTā gulāb ho na sakā
zamīñ pe jaam bhī TuuTe falak pe aḳhtar bhī
shikast-e-shīsha-e-dil kā javāb ho na sakā
ma.āl-e-valvala-e-arz-e-shauq kyā kahiye
zabān kaisī nazar se ḳhitāb ho na sakā
harīm-e-dost kī rif.at are ma.āz-allāh
ba-juz ḳhayāl koī bāryāb ho na sakā
vo chashm-e-mast kuchh aisī jhukī jhukī sī rahī
ba-qadr-e-hausla koī ḳharāb ho na sakā
nazar nazar meñ samā kar rahe bahar-sūrat
hijāb kar na sake yā hijāb ho na sakā
shafaq nikhar ke bhī terī harīf ban na sakī
chaman sañvar ke bhī terā javāb ho na sakā
dam-e-vidā.a ye majbūriyāñ mohabbat kī
salām kā bhī kisī ke javāb ho na sakā
hazār husn-o-nazākat se shāḳh-e-gul lachkī
salām-e-nāz kā tere javāb ho na sakā
ye dagh-e-dil tere ruKH ka jawab ho na saka
charagh lakh jala aaftab ho na saka
hazar bar zamane ne karwaTen badlin
meri wafa mein koi inqalab ho na saka
kaho ki chheD ke chhaalon ko kya mila aaKHir
lahu mein Dub ke kanTa gulab ho na saka
zamin pe jam bhi TuTe falak pe aKHtar bhi
shikast-e-shisha-e-dil ka jawab ho na saka
maal-e-walwala-e-arz-e-shauq kya kahiye
zaban kaisi nazar se KHitab ho na saka
harim-e-dost ki rifat are maaz-allah
ba-juz KHayal koi baryab ho na saka
wo chashm-e-mast kuchh aisi jhuki jhuki si rahi
ba-qadr-e-hausla koi KHarab ho na saka
nazar nazar mein sama kar rahe bahar-surat
hijab kar na sake ya hijab ho na saka
shafaq nikhar ke bhi teri harif ban na saki
chaman sanwar ke bhi tera jawab ho na saka
dam-e-widaa ye majburiyan mohabbat ki
salam ka bhi kisi ke jawab ho na saka
hazar husn-o-nazakat se shaKH-e-gul lachki
salam-e-naz ka tere jawab ho na saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.