ye dastan-e-shab-e-hijr kaun sunta bhala
ye dāstān-e-shab-e-hijr kaun suntā bhalā
junūñ bhī is ko kahāñ tak bayān kartā bhalā
koī to saath ho rone ko aur hañsne ko
akelā aadmī hañstā bhalā na rotā bhalā
sadā.eñ TuuT ga.iiñ aur samā.ateñ pighlīñ
ki aise shor-e-qayāmat meñ kaun suntā bhalā
vo aa.e bazm meñ pūchhā hameñ chale bhī ga.e
hamārī āñkheñ thiiñ pur-nam nazar kyā aatā bhalā
ayādatoñ ke liye jaanā us kī aadat thī
vagarna dekhne 'safiya' tumheñ vo aatā bhalā
ye dastan-e-shab-e-hijr kaun sunta bhala
junun bhi is ko kahan tak bayan karta bhala
koi to sath ho rone ko aur hansne ko
akela aadmi hansta bhala na rota bhala
sadaen TuT gain aur samaaten pighlin
ki aise shor-e-qayamat mein kaun sunta bhala
wo aae bazm mein puchha hamein chale bhi gae
hamari aankhen thin pur-nam nazar kya aata bhala
ayaadaton ke liye jaana us ki aadat thi
wagarna dekhne 'safiya' tumhein wo aata bhala
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 118)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.