ye dard-e-hijr yahan tak to sazgar aae
ye dard-e-hijr yahāñ tak to sāzgār aa.e
vo ḳhud hī ban ke sarāpā-e-intizār aa.e
maza to jab hai ki iḳhfā-e-rāz ke bā-vasf
mirī zabāñ pe tirā naam baar baar aa.e
hayāt-e-'ishq kā jab jā.eza liyā ham ne
ḳhud apne jurm nigāhoñ meñ be-shumār aa.e
bajā hai zauq-e-talab lekin us se kyā hāsil
qadam bahakne lageñ jab tirā dayār aa.e
ḳhudā se kyā gila-e-jaur-e-zindagī kījiye
guzārnī thī ghaḌī do ghaḌī guzār aa.e
vahīñ vahīñ se ik āvāz-e-bāzgasht aa.ī
jahāñ-jahāñ tujhe ai dost ham pukār aa.e
'ajab nahīñ unhī rāhoñ ke pech-o-ḳham meñ 'hazīñ'
mujhe talāsh hai jis kī vo rahguzār aa.e
ye dard-e-hijr yahan tak to sazgar aae
wo KHud hi ban ke sarapa-e-intizar aae
maza to jab hai ki iKHfa-e-raaz ke ba-wasf
meri zaban pe tera nam bar bar aae
hayat-e-'ishq ka jab jaeza liya hum ne
KHud apne jurm nigahon mein be-shumar aae
baja hai zauq-e-talab lekin us se kya hasil
qadam bahakne lagen jab tera dayar aae
KHuda se kya gila-e-jaur-e-zindagi kijiye
guzarni thi ghaDi do ghaDi guzar aae
wahin wahin se ek aawaz-e-bazgasht aai
jahan-jahan tujhe ai dost hum pukar aae
'ajab nahin unhi rahon ke pech-o-KHam mein 'hazin'
mujhe talash hai jis ki wo rahguzar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.