ye dard-e-ishq shuruat mein maza dega
ye dard-e-ishq shurūāt meñ maza degā
phir us ke baad ye pāgal tujhe banā degā
lagā.e baiThe haiñ ummīd bevafā se ham
vafā kā jaam kabhī to hameñ pilā degā
mirā tabīb hī jab mubtalā hai ḳhud ġham meñ
mire maraz kī bhalā kyā mujhe davā degā
kisī ke sāmne hargiz na haath phailāo
ḳhudā ne rizq kā va.ada kiyā ḳhudā degā
tamām umr thā jo mubtalā gunāhoñ meñ
sunā hai shaḳhs vahī ab hameñ sazā degā
yaqīn ḳhud se ziyāda thā jis pe mujh ko 'taqī'
ḳhabar nahīñ thī ye mujh ko vahī daġhā degā
ye dard-e-ishq shuruat mein maza dega
phir us ke baad ye pagal tujhe bana dega
lagae baiThe hain ummid bewafa se hum
wafa ka jam kabhi to hamein pila dega
mera tabib hi jab mubtala hai KHud gham mein
mere maraz ki bhala kya mujhe dawa dega
kisi ke samne hargiz na hath phailao
KHuda ne rizq ka wada kiya KHuda dega
tamam umr tha jo mubtala gunahon mein
suna hai shaKHs wahi ab hamein saza dega
yaqin KHud se ziyaada tha jis pe mujh ko 'taqi'
KHabar nahin thi ye mujh ko wahi dagha dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.