ye dard ka hai musalsal jo silsila kyun hai
ye dard kā hai musalsal jo silsila kyuuñ hai
Thahar Thahar ke koī dil meñ jhāñktā kyuuñ hai
nahīñ hai koī ta.alluq agar mirā tujh se
to phir ye chehrā tirā zard zard sā kyuuñ hai
fareb khā ke bhī va.ade pe e'tibār kiyā
subūt phir bhī vafā kā vo māñgtā kyuuñ hai
agar hai jītnā maqsad to phir batā.e koī
vo jān-būjh ke baazī ko hārtā kyuuñ hai
ajiib log haiñ us par savāl karte haiñ
kabhī to socheñ ki āḳhir vo ġham-zada kyuuñ hai
agar hai daur-e-taraqqī to daur-e-hāzir meñ
batāo mujh ko ki har samt karbalā kyuuñ hai
hai ḳhuun ek hī jaisā ragoñ meñ jab 'sāhil'
to phir ye soch sabhī kī judā judā kyuuñ hai
ye dard ka hai musalsal jo silsila kyun hai
Thahar Thahar ke koi dil mein jhankta kyun hai
nahin hai koi talluq agar mera tujh se
to phir ye chehra tera zard zard sa kyun hai
fareb kha ke bhi wade pe e'tibar kiya
subut phir bhi wafa ka wo mangta kyun hai
agar hai jitna maqsad to phir batae koi
wo jaan-bujh ke bazi ko haarta kyun hai
ajib log hain us par sawal karte hain
kabhi to sochen ki aaKHir wo gham-zada kyun hai
agar hai daur-e-taraqqi to daur-e-hazir mein
batao mujh ko ki har samt karbala kyun hai
hai KHun ek hi jaisa ragon mein jab 'sahil'
to phir ye soch sabhi ki juda juda kyun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.