ye dariya hai ki pani ka dhuan hai
Interesting Fact
Dedicated to Mohammad Alvi
ye dariyā hai ki paanī kā dhuāñ hai
kabhī ābād thā ḳhālī makāñ hai
maiñ aage jā rahā huuñ pīchhe pīchhe
purānī ādatoñ kī dāstāñ hai
ġhazal apnī shabāhat kho rahī hai
mirā ehsās mujh se bad-gumāñ hai
manāzir haiñ ki dauḌe jā rahe haiñ
koī mazmūñ nahīñ zor-e-bayāñ hai
ye dariya hai ki pani ka dhuan hai
kabhi aabaad tha KHali makan hai
main aage ja raha hun pichhe pichhe
purani aadaton ki dastan hai
ghazal apni shabahat kho rahi hai
mera ehsas mujh se bad-guman hai
manazir hain ki dauDe ja rahe hain
koi mazmun nahin zor-e-bayan hai
- Book : Taziyana (Pg. 130)
- Author : Javid Nasir
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.