ye dariya hai koi ki pani pani guftugu hai
ye dariyā hai koī ki paanī paanī guftugū hai
havā kī sāhiloñ se bādbānī guftugū hai
samundar terī lahreñ haiñ ki zereñ aur zabreñ
samundar terī saarī be-karānī guftugū hai
ikaTThe kar rahī hai māmtā komal se tinke
shajar se shāḳhchoñ kī āshyiānī guftugū hai
ye Dhaltī chhāñv hai qismat se haath aate haiñ ash'ār
ki daulat kī tarah ye ānī-jānī guftugū hai
alag haiñ baaġh meñ rangoñ kī mustā’mal zabāneñ
parinde ke gale kī surḳh-gānī guftugū hai
banāyā hai inhī lafzoñ ko jaise chhāj chhalnī
ki sahrāoñ ke din kaaTe haiñ chhānī guftugū hai
galī-kūchoñ meñ ḳhāmoshī kā barpā hai koī shor
ki shahroñ se yahī naql-e-makānī guftugū hai
chhalak uThtī hai rājoñ aur mahrājoñ ke aage
kisī kī rang-zā nīñdoñ kī raanī guftugū hai
jo maiñ apnī taraf se taaza taaza kah rahā huuñ
kisī mere hī jaise kī purānī guftugū hai
ye dariya hai koi ki pani pani guftugu hai
hawa ki sahilon se baadbani guftugu hai
samundar teri lahren hain ki zeren aur zabren
samundar teri sari be-karani guftugu hai
ikaTThe kar rahi hai mamta komal se tinke
shajar se shaKHchon ki aashyiani guftugu hai
ye Dhalti chhanw hai qismat se hath aate hain ash'ar
ki daulat ki tarah ye aani-jaani guftugu hai
alag hain bagh mein rangon ki musta’mal zabanen
parinde ke gale ki surKH-gani guftugu hai
banaya hai inhi lafzon ko jaise chhaj chhalni
ki sahraon ke din kaTe hain chhani guftugu hai
gali-kuchon mein KHamoshi ka barpa hai koi shor
ki shahron se yahi naql-e-makani guftugu hai
chhalak uThti hai rajon aur mahrajon ke aage
kisi ki rang-za nindon ki rani guftugu hai
jo main apni taraf se taza taza kah raha hun
kisi mere hi jaise ki purani guftugu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.