ye dasht-e-dil mein mujhe kaun dastiyab hua
ye dasht-e-dil meñ mujhe kaun dastiyāb huā
ki ret ho ga.ī shādāb maiñ gulāb huā
balā kā ishq thā phir bhī bichhaḌ ga.e donoñ
kisī pe khul na sakā kaun kab ḳharāb huā
yahī nahīñ ki faqat tum pe aa gayā hai nuur
jise bhī ishq huā vo hī lā-javāb huā
gayā thā milne to maiñ sar-ba-sar añdherā thā
aur us se mil ke jo lauTā to māhtāb huā
tirī galī meñ barastī hai bārish-e-rahmat
yahāñ se zarra bhī guzrā to āftāb huā
ye dasht-e-dil mein mujhe kaun dastiyab hua
ki ret ho gai shadab main gulab hua
bala ka ishq tha phir bhi bichhaD gae donon
kisi pe khul na saka kaun kab KHarab hua
yahi nahin ki faqat tum pe aa gaya hai nur
jise bhi ishq hua wo hi la-jawab hua
gaya tha milne to main sar-ba-sar andhera tha
aur us se mil ke jo lauTa to mahtab hua
teri gali mein barasti hai barish-e-rahmat
yahan se zarra bhi guzra to aaftab hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.