ye daulat rutba shohrat aur ye iman miTTi hai
ye daulat rutba shohrat aur ye iman miTTi hai
Ashutosh Mishra Azal
MORE BYAshutosh Mishra Azal
ye daulat rutba shohrat aur ye īmān miTTī hai
lagāyā haath tab jaanā falak be-jān miTTī hai
lagī jab aag pattoñ meñ shajar tab ro paḌā ġham meñ
kahā phir shāḳh ne har shai yahāñ nādān miTTī hai
likhūñ maiñ falsafe kī shā.irī yā giit ulfat ke
maiñ shā.ir huuñ mirī har nazm kā unvān miTTī hai
kitāb-e-hijr meñ maiñ ab likhūñgā vasl ke qisse
mohabbat meñ milā hai jo mujhe tāvān miTTī hai
nahīñ ma.alūm hasrat se maiñ miTTī dekhtā huuñ kyoñ
mujhe shāyad ḳhabar hai kul mirī pahchān miTTī hai
dikhātā khel hai sab ko 'azal' ban kar madārī aur
tamāshā dekhtā hai jo vo har insān miTTī hai
ye daulat rutba shohrat aur ye iman miTTi hai
lagaya hath tab jaana falak be-jaan miTTi hai
lagi jab aag patton mein shajar tab ro paDa gham mein
kaha phir shaKH ne har shai yahan nadan miTTi hai
likhun main falsafe ki shairi ya git ulfat ke
main shair hun meri har nazm ka unwan miTTi hai
kitab-e-hijr mein main ab likhunga wasl ke qisse
mohabbat mein mila hai jo mujhe tawan miTTi hai
nahin malum hasrat se main miTTi dekhta hun kyon
mujhe shayad KHabar hai kul meri pahchan miTTi hai
dikhata khel hai sab ko 'azal' ban kar madari aur
tamasha dekhta hai jo wo har insan miTTi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.