ye daur daur-e-sitamgar hai jagte rahna
ye daur daur-e-sitamgar hai jāgte rahnā
har ek haath meñ ḳhanjar hai jāgte rahnā
nahīñ hai us kī nigāhoñ meñ raah ke ḳhatre
ki aaj niiñd meñ rahbar hai jāgte rahnā
bharosa Thiik nahīñ nāḳhudā pe itnā bhī
jo paar karnā samundar hai jāgte rahnā
sunā hai bastī se āñdhī guzarne vaalī hai
tumhārā phūñs kā chhappar hai jāgte rahnā
samajh ke aa.ina tum jis ke paas baiThe ho
vo aa.ina nahīñ patthar hai jāgte rahnā
tabāh kar na de tum ko ye niiñd ġhaflat kī
ye maanā phūloñ kā bistar hai jāgte rahnā
'qamar' zamāna hai soyā huā to sone do
tumhārā kaam barābar hai jāgte rahnā
ye daur daur-e-sitamgar hai jagte rahna
har ek hath mein KHanjar hai jagte rahna
nahin hai us ki nigahon mein rah ke KHatre
ki aaj nind mein rahbar hai jagte rahna
bharosa Thik nahin naKHuda pe itna bhi
jo par karna samundar hai jagte rahna
suna hai basti se aandhi guzarne wali hai
tumhaara phuns ka chhappar hai jagte rahna
samajh ke aaina tum jis ke pas baiThe ho
wo aaina nahin patthar hai jagte rahna
tabah kar na de tum ko ye nind ghaflat ki
ye mana phulon ka bistar hai jagte rahna
'qamar' zamana hai soya hua to sone do
tumhaara kaam barabar hai jagte rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.