ye dekh zindagi ke liye hai payam kya
ye dekh zindagī ke liye hai payām kyā
din kyā hai raat kyā hai sahar kyā hai shaam kyā
manzil kī justujū hai to chalte chale chalo
ġhurbat meñ thoḌī der Thahar kar qayām kyā
jab nek aur bad meñ na rah jaa.e imtiyāz
hogā kisī kā aise meñ phir ehtirām kyā
aap apne dushmanoñ ko bhī dushman na jāniye
paḌ jaa.e kal unhīñ se ḳhudā jaane kaam kyā
insān apne aap ko pahchāntā nahīñ
ye sochtā nahīñ ki hai us kā maqām kyā
duniyā-e-zindagī meñ musāvāt chāhiye
is silsile meñ shart-e-ḳhavās-o-avām kyā
duniyā meñ koī naam achhūtā nahīñ rahā
badloge apnā naam to rakkhoge naam kyā
jis haal meñ bhī guzre guzar jā.egī 'la.īq'
thoḌī sī zindagī ke liye ehtimām kyā
ye dekh zindagi ke liye hai payam kya
din kya hai raat kya hai sahar kya hai sham kya
manzil ki justuju hai to chalte chale chalo
ghurbat mein thoDi der Thahar kar qayam kya
jab nek aur bad mein na rah jae imtiyaz
hoga kisi ka aise mein phir ehtiram kya
aap apne dushmanon ko bhi dushman na jaaniye
paD jae kal unhin se KHuda jaane kaam kya
insan apne aap ko pahchanta nahin
ye sochta nahin ki hai us ka maqam kya
duniya-e-zindagi mein musawat chahiye
is silsile mein shart-e-KHawas-o-awam kya
duniya mein koi nam achhuta nahin raha
badloge apna nam to rakkhoge nam kya
jis haal mein bhi guzre guzar jaegi 'laiq'
thoDi si zindagi ke liye ehtimam kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.