ye dhund ye ghubar chhaTe to pata chale
ye dhund ye ġhubār chhaTe to patā chale
sūraj kā haal raat kaTe to patā chale
chehroñ ke ḳhadd-o-ḳhāl salāmat haiñ yā nahīñ
ab ā.inoñ se gard haTe to patā chale
zulmat ke kārobār meñ us kā bhī ek din
chehra ġhubār-e-shab se aTe to patā chale
ummīd kī ye nannhī kiran vāhima na ho
ab chādar-e-siyāh phaTe to patā chale
bikhrā huā hai merā qabīla kahāñ talak
sauġhāt-e-dard phir se miTe to pata chale
ghar meñ vo ik purānī sī tasvīr thī ki hai
sail-e-balā kā zor ghaTe to pata chale
ye dhund ye ghubar chhaTe to pata chale
suraj ka haal raat kaTe to pata chale
chehron ke KHadd-o-KHal salamat hain ya nahin
ab aainon se gard haTe to pata chale
zulmat ke karobar mein us ka bhi ek din
chehra ghubar-e-shab se aTe to pata chale
ummid ki ye nannhi kiran wahima na ho
ab chadar-e-siyah phaTe to pata chale
bikhra hua hai mera qabila kahan talak
saughat-e-dard phir se miTe to pata chale
ghar mein wo ek purani si taswir thi ki hai
sail-e-bala ka zor ghaTe to pata chale
- Book : Aks e Gumgushta (Pg. 9)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.