ye dikhawe ki mohabbat nahin hone wali
ye dikhāve kī mohabbat nahīñ hone vaalī
ham se jazboñ kī tijārat nahīñ hone vaalī
kuchh bhī anjām ho minnat nahīñ hone vaalī
dosto ham se ye zahmat nahīñ hone vaalī
mujh ko gumnāmī meñ marnā hai gavāra lekin
chāplūsī mirī 'ādat nahīñ hone vaalī
tū ne saa.il ko jo lauTāyā hai bhūkā pyāsā
aise ā'māl se barkat nahīñ hone vaalī
'ishq kī aag meñ chup-chāp jalā huuñ barsoñ
ab dubāra ye himāqat nahīñ hone vaalī
apne kaase ko uThā kar baḌho aage 'tāriq'
un kī jānib se 'ināyat nahīñ hone vaalī
ye dikhawe ki mohabbat nahin hone wali
hum se jazbon ki tijarat nahin hone wali
kuchh bhi anjam ho minnat nahin hone wali
dosto hum se ye zahmat nahin hone wali
mujh ko gumnami mein marna hai gawara lekin
chaplusi meri 'adat nahin hone wali
tu ne sail ko jo lauTaya hai bhuka pyasa
aise aa'mal se barkat nahin hone wali
'ishq ki aag mein chup-chap jala hun barson
ab dubara ye himaqat nahin hone wali
apne kase ko uTha kar baDho aage 'tariq'
un ki jaanib se 'inayat nahin hone wali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.