Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye dil hai dard mein lat-pat koi batae use

Hashir Afnan

ye dil hai dard mein lat-pat koi batae use

Hashir Afnan

MORE BYHashir Afnan

    ye dil hai dard meñ lat-pat koī batā.e use

    bahut zarūrī hai hijrat koī batā.e use

    koī batā.e use lauT kar vo aa jaa.e

    mujhe hai us zarūrat koī batā.e use

    ab intizār ke qābil nahīñ rahā yaaro

    bigaḌ chukī hai tabī'at koī batā.e use

    ye baat tai hai bichhaḌnā hai ek roz hameñ

    ye saath hai ġhanīmat koī batā.e use

    aziyyatoñ se to bāhar vo aa gayā hai dost

    mujhe hai ab bhī aziyyat koī batā.e use

    ḳhayāl karnā paḌegā use mohabbat

    karegā kaun hifāzat koī batā.e use

    vo mujh se rūThā hai us ne mujh ko chhoḌ diyā

    karegā kaun vakālat koī batā.e use

    mohabbatoñ meñ siyāsat koī nahīñ kartā

    vo kar rahā hai siyāsat koī batā.e use

    kisī tarah se ḳhabar yaar tak pahuñch jaa.e

    satātī hai mujhe ‘uzlat koī batā.e use

    hai intizār usī abhī talak 'afnān'

    mujhe hai us se mohabbat koī batā.e use

    ye dil hai dard mein lat-pat koi batae use

    bahut zaruri hai hijrat koi batae use

    koi batae use lauT kar wo aa jae

    mujhe hai us ki zarurat koi batae use

    ab intizar ke qabil nahin raha yaro

    bigaD chuki hai tabi'at koi batae use

    ye baat tai hai bichhaDna hai ek roz hamein

    ye sath hi hai ghanimat koi batae use

    aziyyaton se to bahar wo aa gaya hai dost

    mujhe hai ab bhi aziyyat koi batae use

    KHayal karna paDega use mohabbat ka

    karega kaun hifazat koi batae use

    wo mujh se ruTha hai ya us ne mujh ko chhoD diya

    karega kaun wakalat koi batae use

    mohabbaton mein siyasat koi nahin karta

    wo kar raha hai siyasat koi batae use

    kisi tarah se KHabar yar tak pahunch jae

    satati hai mujhe ‘uzlat koi batae use

    hai intizar usi ka abhi talak 'afnan'

    mujhe hai us se mohabbat koi batae use

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now