ye dil hua dhuan dhuan hawa uDa ke le gai
ye dil huā dhuāñ dhuāñ havā uḌā ke le ga.ī
fuġhāñ ki sū-e-kahkashāñ havā uḌā ke le ga.ī
zi-bas-ki ḳhair hai jahāñ havā uḌā ke le ga.ī
batā.eñ kaise jān-e-jāñ havā uḌā ke le ga.ī
ye mustaqil musāfirat bhalā kise aziiz thī
nasīb hai yahāñ vahāñ havā uḌā ke le ga.ī
nizām-e-kā.enāt ke ḳhilāf kuchh nahīñ huā
tasāhulī kī dhajjiyāñ havā uḌā ke le ga.ī
ḳhudā-na-ḳhāsta ḳhudā se nāḳhudā ko thā gurez
bhañvar meñ saarī kashtiyāñ havā uḌā ke le ga.ī
za.iif bāġhbān se muzāhimat na ho sakī
guloñ se tāzgī kahāñ havā uḌā ke le ga.ī
sunahre daur kā ajiib taur ḳhātma huā
jahāñ kī ḳhaak thī vahāñ havā uḌā ke le ga.ī
lahū lahū zamīñ huī daraḳht jab laraz uThe
to zālimoñ kī pagḌiyāñ havā uḌā ke le ga.ī
ma.āshre ke naunihāl the havā ke jaal meñ
na hone paa.e naujavāñ havā uḌā ke le ga.ī
vabā-e-sāḳhta ko sab balā-e-āsmāñ kaheñ
galī galī ye dāstāñ havā uḌā ke le ga.ī
vahī charāġh sā hamāre dil meñ ek phuul thā
use bhī 'sarfarāz'-ḳhāñ’ havā uḌā ke le ga.ī
ye dil hua dhuan dhuan hawa uDa ke le gai
fughan ki su-e-kahkashan hawa uDa ke le gai
zi-bas-ki KHair hai jahan hawa uDa ke le gai
bataen kaise jaan-e-jaan hawa uDa ke le gai
ye mustaqil musafirat bhala kise aziz thi
nasib hai yahan wahan hawa uDa ke le gai
nizam-e-kaenat ke KHilaf kuchh nahin hua
tasahuli ki dhajjiyan hawa uDa ke le gai
KHuda-na-KHasta KHuda se naKHuda ko tha gurez
bhanwar mein sari kashtiyan hawa uDa ke le gai
zaif baghban se muzahimat na ho saki
gulon se tazgi kahan hawa uDa ke le gai
sunahre daur ka ajib taur KHatma hua
jahan ki KHak thi wahan hawa uDa ke le gai
lahu lahu zamin hui daraKHt jab laraz uThe
to zalimon ki pagDiyan hawa uDa ke le gai
maashre ke naunihaal the hawa ke jal mein
na hone pae naujawan hawa uDa ke le gai
waba-e-saKHta ko sab bala-e-asman kahen
gali gali ye dastan hawa uDa ke le gai
wahi charagh sa hamare dil mein ek phul tha
use bhi 'sarfaraaz'-KHan’ hawa uDa ke le gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.