ye dil jo dard-e-mohabbat se be-qarar nahin
ye dil jo dard-e-mohabbat se be-qarār nahīñ
vo sub.h-e-shauq nahīñ shām-e-intizār nahīñ
kisī nigāh meñ mastī nahīñ ḳhumār nahīñ
ye koī aur haiñ saaqī ye bāda-ḳhvār nahīñ
tumhārī shāḳh-e-nasheman meñ barg-o-bār nahīñ
bahār meñ bhī tumhāre liye bahār nahīñ
guloñ kī ġhunchoñ kī pazhmurdagī se zāhir hai
chaman meñ aaj bhī hālāt sāzgār nahīñ
ravish ravish pe ye kāñTe to ḳhair kāñTe haiñ
yahāñ to lāla-o-gul kā bhī e.atibār nahīñ
rah-e-ḳhirad meñ ba-har-gām laakh kāñTe haiñ
junūñ kī raah meñ haa.il ye ḳhār-zār nahīñ
tumhārā dast-e-junūñ kyā abhī nahīñ uTThā
ta.ayyunāt ke parde jo taar taar nahīñ
ajiib haal hai is gulitān-e-hastī kā
kabhī bahār hai is meñ kabhī bahār nahīñ
vo dūsroñ ke liye kyā baneñge chashma-e-faiz
jo aap apne gunāhoñ pe sharmsār nahīñ
ye sang-o-ḳhisht jo hoñ mo'atabar to hoñ lekin
is aadmī kā bahar-hāl e.atibār nahīñ
ye āj-kal kī bahāreñ bhī rūh-farsā haiñ
vahīñ sukūñ hai ba-zāhir jahāñ bahār nahīñ
uThā ke jām-o-subū ḳhud uñDel lete haiñ
hamārī bazm meñ saaqī kā intizār nahīñ
ye dekhte ho jo 'amjad' ko mai-kada-bar-dosh
vo mai-farosh hai mai-nosh-o-mai-gusār nahīñ
ye dil jo dard-e-mohabbat se be-qarar nahin
wo subh-e-shauq nahin sham-e-intizar nahin
kisi nigah mein masti nahin KHumar nahin
ye koi aur hain saqi ye baada-KHwar nahin
tumhaari shaKH-e-nasheman mein barg-o-bar nahin
bahaar mein bhi tumhaare liye bahaar nahin
gulon ki ghunchon ki pazhmurdagi se zahir hai
chaman mein aaj bhi haalat sazgar nahin
rawish rawish pe ye kanTe to KHair kanTe hain
yahan to lala-o-gul ka bhi eatibar nahin
rah-e-KHirad mein ba-har-gam lakh kanTe hain
junun ki rah mein hail ye KHar-zar nahin
tumhaara dast-e-junun kya abhi nahin uTTha
tayyunat ke parde jo tar tar nahin
ajib haal hai is gulitan-e-hasti ka
kabhi bahaar hai is mein kabhi bahaar nahin
wo dusron ke liye kya banenge chashma-e-faiz
jo aap apne gunahon pe sharmsar nahin
ye sang-o-KHisht jo hon mo'atabar to hon lekin
is aadmi ka bahar-haal eatibar nahin
ye aaj-kal ki bahaaren bhi ruh-farsa hain
wahin sukun hai ba-zahir jahan bahaar nahin
uTha ke jam-o-subu KHud unDel lete hain
hamari bazm mein saqi ka intizar nahin
ye dekhte ho jo 'amjad' ko mai-kada-bar-dosh
wo mai-farosh hai mai-nosh-o-mai-gusar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.