ye dil ka dard bhi jaga hua sa rahta hai
ye dil kā dard bhī jaagā huā sā rahtā hai
añdherī raat kā saaya ghanā sā rahtā hai
chamaktī raakh meñ sho.ala dabā sā rahtā hai
kisī kā naam bhī lab par rukā sā rahtā hai
hamārī aañkh kī miTTī hamesha nam hī rahī
hamārā zaḳhm-e-jigar bhī harā sā rahtā hai
ujāle oḌh ke aate haiñ abr ke chādar
diyā bhī shaam se aksar bujhā sā rahtā hai
kahīñ nadī meñ koī rāsta banegā phir
kisī ke haath meñ har dam asā sā rahtā hai
ye dil ka dard bhi jaga hua sa rahta hai
andheri raat ka saya ghana sa rahta hai
chamakti rakh mein shoala daba sa rahta hai
kisi ka nam bhi lab par ruka sa rahta hai
hamari aankh ki miTTi hamesha nam hi rahi
hamara zaKHm-e-jigar bhi hara sa rahta hai
ujale oDh ke aate hain abr ke chadar
diya bhi sham se aksar bujha sa rahta hai
kahin nadi mein koi rasta banega phir
kisi ke hath mein har dam asa sa rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.