ye dil-kashi ye nazakat kahin nahin dekhi
ye dil-kashī ye nazākat kahīñ nahīñ dekhī
jahāñ meñ tujh sī koī shai hasīñ nahīñ dekhī
har ek zarra yahāñ kā hai rashk-e-shams-o-qamar
dayār-e-ishq sī ham ne zamīñ nahīñ dekhī
tumhāre dam hī se qaa.em thī dilkashī is kī
tumhāre baad ye duniyā hasīñ nahīñ dekhī
hamārī tauba kā kyā hashr ho ḳhudā jaane
ghaTā kuchh aisī to kaif-āfrīñ nahīñ dekhī
har ek bazm meñ dekhī hai ham ne qadr-e-vafā
magar ye baat faqat ik yahīñ nahīñ dekhī
kabhī to bhūle se ik baar haañ bhī kah dete
tumhāre lab pe hamesha nahīñ nahīñ dekhī
har ik gunāh meñ lazzat to hai magar ai 'sehr'
gunāh-e-ishq sī lazzat kahīñ nahīñ dekhī
ye dil-kashi ye nazakat kahin nahin dekhi
jahan mein tujh si koi shai hasin nahin dekhi
har ek zarra yahan ka hai rashk-e-shams-o-qamar
dayar-e-ishq si hum ne zamin nahin dekhi
tumhaare dam hi se qaem thi dilkashi is ki
tumhaare baad ye duniya hasin nahin dekhi
hamari tauba ka kya hashr ho KHuda jaane
ghaTa kuchh aisi to kaif-afrin nahin dekhi
har ek bazm mein dekhi hai hum ne qadr-e-wafa
magar ye baat faqat ek yahin nahin dekhi
kabhi to bhule se ek bar han bhi kah dete
tumhaare lab pe hamesha nahin nahin dekhi
har ek gunah mein lazzat to hai magar ai 'sehr'
gunah-e-ishq si lazzat kahin nahin dekhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.