ye dil KHamosh kuchh aise hua hai
ye dil ḳhāmosh kuchh aise huā hai
mujhe lagtā hai jaise mar chalā hai
ḳhudāyā ḳhair mere lashkaroñ kī
diyā jaltā huā bujhne lagā hai
maiñ sach kā saath detā huuñ hamesha
mire jitnā kahāñ koī burā hai
mirī jaañ maiñ to phir bhī aadmī huuñ
yahāñ logoñ ko rab se mas.ala hai
kahā to kuchh nahīñ hai maiñ ne aisā
jo tū mujh se ḳhafā hone lagā hai
tire bin jī nahīñ lagtā hai merā
mohabbat ye nahīñ to aur kyā hai
tabāhī phailtī hī jā rahī hai
ḳhudāvandā ye sab kyā ho rahā hai
ye dil KHamosh kuchh aise hua hai
mujhe lagta hai jaise mar chala hai
KHudaya KHair mere lashkaron ki
diya jalta hua bujhne laga hai
main sach ka sath deta hun hamesha
mere jitna kahan koi bura hai
meri jaan main to phir bhi aadmi hun
yahan logon ko rab se masala hai
kaha to kuchh nahin hai main ne aisa
jo tu mujh se KHafa hone laga hai
tere bin ji nahin lagta hai mera
mohabbat ye nahin to aur kya hai
tabahi phailti hi ja rahi hai
KHudawanda ye sab kya ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.