ye dil tha pesh hamesha sar-e-masafat-e-ishq
ye dil thā pesh hamesha sar-e-masāfat-e-ishq
junūñ talak hī lihāzā milī ijāzat-e-ishq
ḳhat-e-shikasta meñ kyā jaane kab kashīd aa jaa.e
ki saañs rok ke kariyo miyāñ kitābat-e-ishq
har ik nafas hai muhājir ki aarzī hai qiyām
so shahriyat nahīñ detī hai ik riyāsat-e-ishq
ye būd-o-bāsh alag to nahīñ hai merī tirī
lahū ke rang meñ yaksāñ hai jab saqāfat-e-ishq
vo phuul ho ki sitāra vo shaam ho ki charāġh
kabhī kabhī to bahut kam paḌī vazāhat-e-ishq
Dhalī jo shaam to kyoñ dil huā udaas mirā
maiñ jāntā hī na thā jab koī alāmat-e-ishq
jab ek raat mujhe ḳhvāb ik dikhāyā gayā
tamām ho ga.ī us raat sab riyāzat-e-ishq
phir ek sub.h mujhe niiñd se uThāyā gayā
uThā ke mujh ko atā kī ga.ī niyābat-e-ishq
bahut se kaam kiye maiñ ne zindagī meñ magar
jo ek sajda adā ho gayā ba-hālat-e-ishq
ye dil tha pesh hamesha sar-e-masafat-e-ishq
junun talak hi lihaza mili ijazat-e-ishq
KHat-e-shikasta mein kya jaane kab kashid aa jae
ki sans rok ke kariyo miyan kitabat-e-ishq
har ek nafas hai muhajir ki aarzi hai qiyam
so shahriyat nahin deti hai ek riyasat-e-ishq
ye bud-o-bash alag to nahin hai meri teri
lahu ke rang mein yaksan hai jab saqafat-e-ishq
wo phul ho ki sitara wo sham ho ki charagh
kabhi kabhi to bahut kam paDi wazahat-e-ishq
Dhali jo sham to kyon dil hua udas mera
main jaanta hi na tha jab koi alamat-e-ishq
jab ek raat mujhe KHwab ek dikhaya gaya
tamam ho gai us raat sab riyazat-e-ishq
phir ek subh mujhe nind se uThaya gaya
uTha ke mujh ko ata ki gai niyabat-e-ishq
bahut se kaam kiye main ne zindagi mein magar
jo ek sajda ada ho gaya ba-haalat-e-ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.