ye dil usi ki ek aahaT ke intizar mein hai
ye dil usī kī ik aahaT ke intizār meñ hai
jo sāmne hai magar parda-e-ġhubār meñ hai
maza taḌap kā ḳhalish aarzū kī yaas kā ġham
ḳhizāñ meñ lutf jo hai ḳhaak vo bahār meñ hai
kabhī na jis se huī ek bhī ḳhatā sarzad
jhukā.e sar vo sazā ke liye qatār meñ hai
añdherī raat meñ aḳhtar-shumāriyāñ to karo
samajh bhī jāoge kyā lutf intizār meñ hai
nahīñ ye zeb bashar lā-makāñ kī baat kare
hai dastaras se pare kab vo iḳhtiyār meñ hai
ye kāñTe baḌh ke jo dāman ko thaam lete haiñ
guloñ meñ hogī kashish pyaar sirf ḳhaar meñ hai
taḳhayyulāt meñ shāyad hai vasl kā manzar
qarār halkā sā muddat ke be-qarār meñ hai
maza to jab ho chaman ho sadā-bahār-e-misāl
jo mausamī ho tabassum vo kis shumār meñ hai
jidhar bhī dekhiye hai rang-o-bū fazā pe muhīt
tirī hañsī kā asar ab bhī lāla-zār meñ hai
khulī fazāoñ meñ rah kar bhī ham ne dekh liyā
vahī to baat hai jo sahn-e-parda-dār meñ hai
nafas nafas meñ ghuTan aur har taraf hai dhuāñ
fazā vo pahlī sī ab kaun se dayār meñ hai
ḳharīd paa.e jo is ko zamāna hai us kā
suno yahī to sadā vaqt kī pukār meñ hai
ye dil usi ki ek aahaT ke intizar mein hai
jo samne hai magar parda-e-ghubar mein hai
maza taDap ka KHalish aarzu ki yas ka gham
KHizan mein lutf jo hai KHak wo bahaar mein hai
kabhi na jis se hui ek bhi KHata sarzad
jhukae sar wo saza ke liye qatar mein hai
andheri raat mein aKHtar-shumariyan to karo
samajh bhi jaoge kya lutf intizar mein hai
nahin ye zeb bashar la-makan ki baat kare
hai dastaras se pare kab wo iKHtiyar mein hai
ye kanTe baDh ke jo daman ko tham lete hain
gulon mein hogi kashish pyar sirf KHar mein hai
taKHayyulat mein shayad hai wasl ka manzar
qarar halka sa muddat ke be-qarar mein hai
maza to jab ho chaman ho sada-bahaar-e-misal
jo mausami ho tabassum wo kis shumar mein hai
jidhar bhi dekhiye hai rang-o-bu faza pe muhit
teri hansi ka asar ab bhi lala-zar mein hai
khuli fazaon mein rah kar bhi hum ne dekh liya
wahi to baat hai jo sahn-e-parda-dar mein hai
nafas nafas mein ghuTan aur har taraf hai dhuan
faza wo pahli si ab kaun se dayar mein hai
KHarid pae jo is ko zamana hai us ka
suno yahi to sada waqt ki pukar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.