ye dua ab qubul ho jae
ye du'ā ab qubūl ho jaa.e
kaash har ḳhaar phuul ho jaa.e
chāhtī huuñ maiñ chāhatoñ pe 'urūj
aur nafrat fuzūl ho jaa.e
nāzukī kā badalnā mushkil hai
phuul kaise babūl ho jaa.e
aap ik vaah kar deñ ġhazloñ par
saarī mehnat vasūl ho jaa.e
kis qadar tez dhuup niklī hai
koī saaya nuzūl ho jaa.e
ġham hī kyoñ de rahī hai ye duniyā
kuchh ḳhushī kā husūl ho jaa.e
ye du'a ab qubul ho jae
kash har KHar phul ho jae
chahti hun main chahaton pe 'uruj
aur nafrat fuzul ho jae
nazuki ka badalna mushkil hai
phul kaise babul ho jae
aap ek wah kar den ghazlon par
sari mehnat wasul ho jae
kis qadar tez dhup nikli hai
koi saya nuzul ho jae
gham hi kyon de rahi hai ye duniya
kuchh KHushi ka husul ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.