ye duniya ajab rang-o-bu ka jahan hai yahan rang uDane ki koshish na karna
ye duniya ajab rang-o-bu ka jahan hai yahan rang uDane ki koshish na karna
Prem Pal Ashk
MORE BYPrem Pal Ashk
ye duniyā 'ajab rang-o-bū kā jahāñ hai yahāñ rang uḌāne kī koshish na karnā
ḳhabar pattī pattī ko mil kar rahegī koī gul khilāne kī koshish na karnā
agar rahnumā aap jaise hoñ apne to phir rahzanoñ kī zarūrat nahīñ hai
koī bhūlā-bhaTkā agar mil bhī jaa.e use rah pe laane kī koshish na karnā
bichhāte rahe raah meñ phuul ham to magar tum ne kāñTe hī bo.e hamesha
gunahgār haiñ muñh pe hī baat kah dī ab āñkheñ churāne kī koshish na karnā
sitāroñ ko bhī niiñd aane lagī hai ki ab raat bhī bhīgtī jā rahī hai
koī so gayā thaam kar ġham kā dāman use tum jagāne kī koshish na karnā
jahāñ sej phūloñ kī samjhī hai tum ne vahīñ har qadam par haiñ kāñTe hī kāñTe
mohabbat kī duniyā meñ haiñ 'ashk' aa.heñ yahāñ dil lagāne kī koshish na karnā
ye duniya 'ajab rang-o-bu ka jahan hai yahan rang uDane ki koshish na karna
KHabar patti patti ko mil kar rahegi koi gul khilane ki koshish na karna
agar rahnuma aap jaise hon apne to phir rahzanon ki zarurat nahin hai
koi bhula-bhaTka agar mil bhi jae use rah pe lane ki koshish na karna
bichhate rahe rah mein phul hum to magar tum ne kanTe hi boe hamesha
gunahgar hain munh pe hi baat kah di ab aankhen churane ki koshish na karna
sitaron ko bhi nind aane lagi hai ki ab raat bhi bhigti ja rahi hai
koi so gaya tham kar gham ka daman use tum jagane ki koshish na karna
jahan sej phulon ki samjhi hai tum ne wahin har qadam par hain kanTe hi kanTe
mohabbat ki duniya mein hain 'ashk' aahen yahan dil lagane ki koshish na karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.