ye duniya sang-dil aur bewafa hai
ye duniyā sang-dil aur bevafā hai
bhalā is ne kisī ko kyā diyā hai
ḳhudā hī hai nigahbāñ ab hamārā
yahāñ har-gām par fitna bapā hai
natīja hashr meñ is kā milegā
jahāñ meñ jis ne jo kuchh bhī kiyā hai
nibhāo va.ada vo roz-e-azal kā
ye mauqa umr bhar kā jo milā hai
karo duniyā meñ tum ehsān sab par
yahī tārīk rātoñ kā diyā hai
sila mehnat kā miltā hai jahāñ meñ
sivā is ke yahāñ par kyā milā hai
vahī maqbūl hai dargāh-e-rab meñ
amal vo nek jo tū ne kiyā hai
tirī ye jāñ-fishānī mard-e-momin
husūl-e-ḳhair kā behtar sila hai
sila ye hai ḳhulūs-e-dil kā be-shak
sukūñ se 'faiz' ab tak jī rahā hai
ye duniya sang-dil aur bewafa hai
bhala is ne kisi ko kya diya hai
KHuda hi hai nigahban ab hamara
yahan har-gam par fitna bapa hai
natija hashr mein is ka milega
jahan mein jis ne jo kuchh bhi kiya hai
nibhao wada wo roz-e-azal ka
ye mauqa umr bhar ka jo mila hai
karo duniya mein tum ehsan sab par
yahi tarik raaton ka diya hai
sila mehnat ka milta hai jahan mein
siwa is ke yahan par kya mila hai
wahi maqbul hai dargah-e-rab mein
amal wo nek jo tu ne kiya hai
teri ye jaan-fishani mard-e-momin
husul-e-KHair ka behtar sila hai
sila ye hai KHulus-e-dil ka be-shak
sukun se 'faiz' ab tak ji raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.