ye ehsas behad KHajil kar raha hai
ye ehsas behad KHajil kar raha hai
Khursheed Ambar Pratapgadhi
MORE BYKhursheed Ambar Pratapgadhi
ye ehsās behad ḳhajil kar rahā hai
karam mujh par ik sang-dil kar rahā hai
bharosa hai behad tabhī yaar merā
mujhe apne ġham muntaqil kar rahā hai
kisī aur meñ hai kahāñ itnī jur.at
maiñ vo kar rahā huuñ jo dil kar rahā hai
baḌe sard-o-garm aa.e hālāt lekin
mirā chehra har rut meñ khil kar rahā hai
tujhe ai mirī zindagī hai ḳhabar kyā
ta.āqub koī mustaqil kar rahā hai
koī raa.e us par karūñ kaise qaa.em
hamesha jo hoñToñ ko sil kar rahā hai
mujhe bhej kar tohfa-e-gul vo 'ambar'
ajab Dhang se mushta.il kar rahā hai
ye ehsas behad KHajil kar raha hai
karam mujh par ek sang-dil kar raha hai
bharosa hai behad tabhi yar mera
mujhe apne gham muntaqil kar raha hai
kisi aur mein hai kahan itni jurat
main wo kar raha hun jo dil kar raha hai
baDe sard-o-garm aae haalat lekin
mera chehra har rut mein khil kar raha hai
tujhe ai meri zindagi hai KHabar kya
taaqub koi mustaqil kar raha hai
koi rae us par karun kaise qaem
hamesha jo honTon ko sil kar raha hai
mujhe bhej kar tohfa-e-gul wo 'ambar'
ajab Dhang se mushtail kar raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.