ye ek kaam bacha tha so wo bhi karne lage
ye ek kaam bachā thā so vo bhī karne lage
nafas nafas meñ udāsī ke jaam bharne lage
abhī to in ko murattab hī kar rahe the ham
ḳhayāl saf.ha-e-qirtās par bikharne lage
sitam-zarīfī-e-daurāñ bhī raas aane lagī
ye kis kī zulf ke saa.e meñ ham sañvarne lage
udaas nasloñ ko darkār hai ik aur safar
ruḳh-e-sahar pe shaboñ ke nuqūsh ubharne lage
musāfirān-e-taġhayyur haiñ kaise saada mizāj
hayāt-e-nau kī bashārat pe kaan dharne lage
bas itnā qissa hai āñkhoñ meñ ḳhvāb aane kā
uThe sañbhal ke chale aur phir Thaharne lage
ye ek kaam bacha tha so wo bhi karne lage
nafas nafas mein udasi ke jam bharne lage
abhi to in ko murattab hi kar rahe the hum
KHayal safha-e-qirtas par bikharne lage
sitam-zarifi-e-dauran bhi ras aane lagi
ye kis ki zulf ke sae mein hum sanwarne lage
udas naslon ko darkar hai ek aur safar
ruKH-e-sahar pe shabon ke nuqush ubharne lage
musafiran-e-taghayyur hain kaise sada mizaj
hayat-e-nau ki bashaarat pe kan dharne lage
bas itna qissa hai aankhon mein KHwab aane ka
uThe sanbhal ke chale aur phir Thaharne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.