ye fan ye ilm-o-adab banTana hamare baad
ye fan ye ilm-o-adab bāñTanā hamāre baa'd
hamāre naam ko mat pūjnā hamāre baa'd
haiñ dost itne magar saath kaun detā hai
kisī ko aazmā ke dekhnā hamāre baa'd
batā.eñge tumheñ vo ahl-e-adab ahl-e-qalam
hamāre baare meñ tum pūchhnā hamāre baa'd
abhī to rahne do jaisā bhī ghar kā naqsha hai
hamārī gaddī pe tum baiThnā hamāre baa'd
vabāl koī bhī aa.e to hausla rakhnā
hamāre naqsh-e-qadam DhūñDhnā hamāre baa'd
abhī to aish karo sar-parast zinda hai
pe ḳhvāhishāt ko tum roknā hamāre baa'd
abhī to zinda haiñ aa kar milā karo yaaro
jo bhūlnā hai hameñ bhūlnā hamāre baa'd
jo aaj karte haiñ ham ko 'shafaq' nazar-andāz
kareñge yaad hameñ dekhnā hamāre baa'd
ye fan ye ilm-o-adab banTana hamare ba'd
hamare nam ko mat pujna hamare ba'd
hain dost itne magar sath kaun deta hai
kisi ko aazma ke dekhna hamare ba'd
bataenge tumhein wo ahl-e-adab ahl-e-qalam
hamare bare mein tum puchhna hamare ba'd
abhi to rahne do jaisa bhi ghar ka naqsha hai
hamari gaddi pe tum baiThna hamare ba'd
wabaal koi bhi aae to hausla rakhna
hamare naqsh-e-qadam DhunDhna hamare ba'd
abhi to aish karo sar-parast zinda hai
pe KHwahishat ko tum rokna hamare ba'd
abhi to zinda hain aa kar mila karo yaro
jo bhulna hai hamein bhulna hamare ba'd
jo aaj karte hain hum ko 'shafaq' nazar-andaz
karenge yaad hamein dekhna hamare ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.