ye fikr-o-fan ke fitne log ab aksar uThate hain
ye fikr-o-fan ke fitne log ab aksar uThāte haiñ
ujāle meñ to sub.ha raat meñ sāġhar uThāte haiñ
nahīñ hai tāqat-e-parvāz lekin hausla to hai
nigāheñ āsmāñ pe rakh ke bāl-o-par uThāte haiñ
ye maanā ham ne sabr-o-zabt ke aadī haiñ ham lekin
sitam had se guzar jaa.e to phir ḳhanjar uThāte haiñ
kabhī Thokar nahīñ khāte vo is duniyā-e-fānī meñ
jo apnā har qadam maulā kī marzī par uThāte haiñ
huā hai qatl muflis ke dil-e-armāñ kā duniyā meñ
tamannā.eñ thī phūloñ kī magar patthar uThāte haiñ
zamāne kā chalan hai is tarah badlā huā 'vāqif'
jhukā ke sar jo chalte the vahī ab sar uThāte haiñ
ye fikr-o-fan ke fitne log ab aksar uThate hain
ujale mein to subha raat mein saghar uThate hain
nahin hai taqat-e-parwaz lekin hausla to hai
nigahen aasman pe rakh ke baal-o-par uThate hain
ye mana hum ne sabr-o-zabt ke aadi hain hum lekin
sitam had se guzar jae to phir KHanjar uThate hain
kabhi Thokar nahin khate wo is duniya-e-fani mein
jo apna har qadam maula ki marzi par uThate hain
hua hai qatl muflis ke dil-e-arman ka duniya mein
tamannaen thi phulon ki magar patthar uThate hain
zamane ka chalan hai is tarah badla hua 'waqif'
jhuka ke sar jo chalte the wahi ab sar uThate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.