ye fitrat hai chhupi rahti hai pahchani nahin jati
ye fitrat hai chhupi rahti hai pahchani nahin jati
Ustad Vajahat Husain Khan
MORE BYUstad Vajahat Husain Khan
ye fitrat hai chhupī rahtī hai pahchānī nahīñ jaatī
jo ban jaatī hai 'ādat vo ba-āsānī nahīñ jaatī
havādis achchhī-ḳhāsī shaḳhsiyat ko toḌ dete haiñ
badal jaatī hai shakl aisī ki pahchānī nahīñ jaatī
anā ko naam de dete haiñ jo ḳhud-e'timādī kā
vo miT jaate haiñ lekin un kī man-mānī nahīñ jaatī
javāñ nasloñ meñ jab kam-mā.egī ghar karne lagtī hai
zamāne tak phir un kī ye pashemānī nahīñ jaatī
guzar jaate haiñ apnī jaan se jo qaum kī ḳhātir
akārat aise jāñ-bāzoñ kī qurbānī nahīñ jaatī
sahārā ġhair kā lene kī koshish mat karo yaaro
jo ḳhūgar is kā ho jaa.e tan-āsānī nahīñ jaatī
'vajāhat' is qadar khaa.e haiñ dhoke ham ne apnoñ se
bhulānā laakh chāheñ phir bhī hairānī nahīñ jaatī
ye fitrat hai chhupi rahti hai pahchani nahin jati
jo ban jati hai 'adat wo ba-asani nahin jati
hawadis achchhi-KHasi shaKHsiyat ko toD dete hain
badal jati hai shakl aisi ki pahchani nahin jati
ana ko nam de dete hain jo KHud-e'timadi ka
wo miT jate hain lekin un ki man-mani nahin jati
jawan naslon mein jab kam-maegi ghar karne lagti hai
zamane tak phir un ki ye pashemani nahin jati
guzar jate hain apni jaan se jo qaum ki KHatir
akarat aise jaan-bazon ki qurbani nahin jati
sahaara ghair ka lene ki koshish mat karo yaro
jo KHugar is ka ho jae tan-asani nahin jati
'wajahat' is qadar khae hain dhoke hum ne apnon se
bhulana lakh chahen phir bhi hairani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.