ye fitrat ki haqiqat hai jo jhuTlai nahin jati
ye fitrat ki haqiqat hai jo jhuTlai nahin jati
Maya Khanna Raje Barelvi
MORE BYMaya Khanna Raje Barelvi
ye fitrat kī haqīqat hai jo jhuTlā.ī nahīñ jaatī
hai kyā shai putlā-e-ḳhākī meñ jo paa.ī nahīñ jaatī
huzūr-e-husn meñ ye ishq kī ḳhuddāriyāñ nādāñ
tamannā arz kī jaatī hai farmā.ī nahīñ jaatī
mujhe ai dil usī kūche usī mahfil meñ phir le chal
tabī.at mai-kade meñ mujh se bahlā.ī nahīñ jaatī
mirā ronā mire bas meñ nahīñ hai nāseh-e-mushfiq
ghaTā ye ḳhud baras jaatī hai barsā.ī nahīñ jaatī
zarā sā guftugū meñ moḌ ho to chauñk uThtī huuñ
mirī dīvāngī se itnī dānā.ī nahīñ jaatī
na vo dīvāngī hai ab na vo sahrā na vo kāñTe
magar talvoñ se shān-e-ābla-pā.ī nahīñ jaatī
un āñkhoñ se ziyā-e-mehr kī ummīd ai 'rāje'
jin āñkhoñ meñ mohabbat kī ramaq paa.ī nahīñ jaatī
ye fitrat ki haqiqat hai jo jhuTlai nahin jati
hai kya shai putla-e-KHaki mein jo pai nahin jati
huzur-e-husn mein ye ishq ki KHuddariyan nadan
tamanna arz ki jati hai farmai nahin jati
mujhe ai dil usi kuche usi mahfil mein phir le chal
tabiat mai-kade mein mujh se bahlai nahin jati
mera rona mere bas mein nahin hai naseh-e-mushfiq
ghaTa ye KHud baras jati hai barsai nahin jati
zara sa guftugu mein moD ho to chaunk uThti hun
meri diwangi se itni danai nahin jati
na wo diwangi hai ab na wo sahra na wo kanTe
magar talwon se shan-e-abla-pai nahin jati
un aankhon se ziya-e-mehr ki ummid ai 'raje'
jin aankhon mein mohabbat ki ramaq pai nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.